" You lie so perfectly that u can add it as a skill in ur CV"- Himanshu Gupta
Thursday, 29 December 2011
Sunday, 20 November 2011
Bezubaan
Bezubaan
Aao yaaro tumhe sunaaun
kahani ek Bezubaan ki
Dil tha saaf uska sheeshe ki tarah
dimaag uske paas tha nahi
kaam koi wo karta nahi
sehta rehta tha wo taaney har kisi k
har kisi ko umeedein thi us se
par khud se koi umeed na thi usey
band aankhein kar k wo teer chalaata
jo har baar waapis aake usey e lagta
zindagi uski khatam hone lagi
bimaariyan usey roz gherney lagi
ban gya woh kuch din ka mehmaan
Isi wajah se hota rha wo pareshaan
Ik din chorh gya woh yeh sansaar
Fir sabi log kehney lagey "THA WO BADA HOSHIYAAR"!!!!!
Aao yaaro tumhe sunaaun
kahani ek Bezubaan ki
Dil tha saaf uska sheeshe ki tarah
dimaag uske paas tha nahi
kaam koi wo karta nahi
sehta rehta tha wo taaney har kisi k
har kisi ko umeedein thi us se
par khud se koi umeed na thi usey
band aankhein kar k wo teer chalaata
jo har baar waapis aake usey e lagta
zindagi uski khatam hone lagi
bimaariyan usey roz gherney lagi
ban gya woh kuch din ka mehmaan
Isi wajah se hota rha wo pareshaan
Ik din chorh gya woh yeh sansaar
Fir sabi log kehney lagey "THA WO BADA HOSHIYAAR"!!!!!
Wednesday, 21 September 2011
Meri Zindagi
Meri Zindagi
Meri Zindagi ek Khuli Kitaab hai
Har Lamha Iska Beniqaab hai
Lamha lamha Guzarta gya
Aur aaj main kahan pahunch gya
Jis Jis pe bharosa kia usi ne muje dhokha dia
Ek ghaaw bharta nahi k
dusra mil jaata hai
Bas yeh Silsilaa yun e badhta jata hai
Har kisi ko yeh dil "APNA" maan baithta hai
Har baar ek e galti kar baithta hai
Kitna Bewkuf hai dil,jo Dimaag ki sunta nahi
Is zaalim Dunia ko,yeh samjhta nahi
Patta Patta(leaf) bikhar chuki hai yeh zindagi
Apni aakhri saans le rhi hai yeh Zindagi.........
Meri Zindagi ek Khuli Kitaab hai
Har Lamha Iska Beniqaab hai
Lamha lamha Guzarta gya
Aur aaj main kahan pahunch gya
Jis Jis pe bharosa kia usi ne muje dhokha dia
Ek ghaaw bharta nahi k
dusra mil jaata hai
Bas yeh Silsilaa yun e badhta jata hai
Har kisi ko yeh dil "APNA" maan baithta hai
Har baar ek e galti kar baithta hai
Kitna Bewkuf hai dil,jo Dimaag ki sunta nahi
Is zaalim Dunia ko,yeh samjhta nahi
Patta Patta(leaf) bikhar chuki hai yeh zindagi
Apni aakhri saans le rhi hai yeh Zindagi.........
Subscribe to:
Posts (Atom)